Sunday, September 28, 2008

Uns


Jaane kitne dard chhipe hai in haathon ki lakeero main,

Har ashru jo nikalta hai dhadkan chhu ke aata hai
Har adhura khwab,bunaney se pehle hi tut jaata hai,
jaaney kitney ehsaas jakde hai in saason ki zanjeero ne,
Jaane kitne dard chhipe hai in haathon ki lakeero main

Jeena chahti thi jo sapna, woh ab nidra se jagaata hai,
Beeta hua kal,vyatha ka kissa dohrata hai,
Rooh ka har katra laut ke jaana chahta hai
Rang jaise ud gaye hai, un chamakti tasveero se
Jaane kitne dard likhe hai in haatho ki lakeero main

Ateet-lehar dil main uthati hai aasu chhalak jaate hai
Ab khushi ke lamhe bhi gam ka geet gaate hai,
Hassi dhoondne jaate hai gam har disha se paate hai,
Ab maange bhi to kya maange hum upar bahthe fakeero se
Jaane kitne dard chhipe hai in haatho ki lakiro main..

Dard ban ke ik saaya, aas-paas mandrata hai
Iss dharatal ya aakash per sukoon nahi aata hai
Zindagi ne saath chhoda hai,
Maut ne muuh moda hai,
Jaaye bhi to kahan jaayein chhup ke apni takdeero se
Jaane kitne dard chhipe hai in haathon ki lakeero main