Friday, January 22, 2010

khud se...


Aansoo fir aaj chhalke.
Dil ne fir awaaz lagai

‘Sun re O saathi mere
Uski yaad teri parchhayi.
Door kahan jaayegi
Saaya to saath hi hai
Sukun kahan payegi
Dil to udaas hi hai.
Jo chhoot gaya uska mat gam ker
Ab toot gaya, ankhen na nam ker
Ehsaan ker tu bas ye hum par
Har saans per na uska dum bhar.
Chhudva liya jo usne daaman
Pakadne ko ab baaki kya hai?’

Soch ke dekh ek baar tu ae mann
bin Diya ke baati kya hai?

‘Tute sapne ,awaaz na aayi,
Dard mujh mein tu kyu bhar layi?’

Shor dhadkan ka, dimag ki hulchal,
Tanhai mein kahan tanhai?
Aj bhi hai wahi sapna mera
Lagau Hatho main mehndi,
Sakhiya kare vatna mera
Zuban pe ho geet Milan ke,
Aise mile na ho judai.

‘Jo diya kismet ne tujhe,
Kyu na use tu apna leti?
Nahi hota har sapna pura
Nahi to duniya chaand pa leti’

Chand ke na they sapne mere
Ghar chhota sa, bus dharti per
Khushiya kare aangan mei dere
Na ho kabhi judai ka darr!!

‘Ab kya kahun tujhey main dost!
Khuda pe chhod, kuchh ab na soch.
Jab tham li hi hai usne dor
Tab door kahan hoga bhor.


Bhor kaha jab suraj nahi,
Sard mein rooh kaap jaati hai.
Is andhere ki chadar main se
Koi kiran nazar na aati hai
Phoolon ki khushbu rooth gayi
Chidiya bhi na chehakati hai
Har aas ab to toot gayi
Dukh ki badri bas mandrati hai.

Ae man mere soch koi tarkeeb,
Pa pau jisse pyar main apna
Khushiyo ka phir sansar ho
Din raat usi ka naam ho japna.

‘Bhul ja jo tera na tha,
Band ho gaya hai ateet-dwar.
Dekh aage nayi manzil teh kar
wahi hoga tera pyar.
Maana asan nahi hai karna,
Per zindagi chalne ka naam hai.
Yaha na hai koi bhi ruk paya
Yahin mera aakhiri payyaam hai.
Dhek dukh ki badri chhati
Suraj phir nikal aaya
Mausam badla, fir bahar aayi
Shayad phir sandesha laya
Nahin hai jo apne bas mein
Usko kahan badlegi tu
Duniya ka hai yehi asul
Bhool ja ab pichhli sab bhool
Tham le use jo tera saath de
De usey jo apna hath de.
Zindagi toh hai chhayo dhup,
Phoolo ke saath milte hai shul.’